kya aur kyon ye kaise hua jab samajh liya

By tasnim-abbas-quraishiMarch 1, 2024
kya aur kyon ye kaise hua jab samajh liya
zarf-e-du'a ko hum ne labaalab samajh liya
dil mein hai kya wo jaanta hai sab samajh liya
tark-e-talab ko mangne ka dhab samajh liya


man bap ka jo martaba mansab samajh liya
samjho ki tum ne din adab sab samajh liya
tum ko bhulae jaane ke nadida khauf se
hum ne tumhaari yaad ko aujab samajh liya


khud se tamam 'umr shanasa na ho sake
duniya ne jaane kaise hamein kab samajh liya
'tasnim' ke zamin pe thaharte nahin qadam
mufrad ko us ne jab se murakkab samajh liya


26567 viewsghazalEnglish