kya banawaT ne nikale nai talwar ke hath
By munshi-banwari-lal-sholaSeptember 26, 2023
kya banawat ne nikale nai talwar ke hath
khun barsate hain mehndi-bhari sarkar ke hath
ghontte dam mein kisi tifl-e-tarahdar ke hath
o masiha na lagana dil-e-bimar ke hath
maut likkhi thi magar abru-e-khamdar ke hath
mera paigham-e-ajal aata hai talwar ke hath
kabhi hai tir ki chutki kabhi talwar ke hath
nichle rahte hi nahin shokh sitamgar ke hath
teri bakhshish hai to kya garmi-e-mahshar se khatar
gosha-e-daman-e-rahmat hai gunahgar ke hath
khinchta hai koi dil mein se tasawwur tera
uthte sine se nahin kyon tere bimar ke hath
main wo hun jins ki hota nahin sauda mera
bechiye muft bhi gar mujh ko kharidar ke hath
bait-e-abru pe nae til mein ye mazmun hai aur
chadh gae raat kisi shair-e-mai-khwar ke hath
kashmakash baad-e-fana bhi na gai duniya ki
ek ke hath se chhute to pade chaar ke hath
bul-hawas chup hai jo aanchal ko tumhaare chhu kar
baat kuchh tah ki padi mahram-e-asrar ke hath
shana ki dast-daraazi hai sitam ka bais
roz kat jate hain nahaq yunhin do-chaar ke hath
na bacha sail-e-fana se ye makan-e-khaki
ek zamane ne lagae dar-o-diwar ke hath
na to din-dar se matlab hai na kafir se gharaz
kab hain paband yahan subha-o-zunnar ke hath
ek zulekha se bhala qimat-e-yusuf kya ho
bhaw badhta hai magar garmi-e-bazar ke hath
kah diya aashiq-e-abru ko musalman kis ne
wo lagane nahin dete mujhe zunnar ke hath
ab gale lagte hain be-sakhta un ke 'shoala'
ya lagane nahin pate the kabhi haar ke hath

66218 viewsghazal • English