kya bataun ki ab KHuda kya hai

By dil-ayubiOctober 29, 2020
kya bataun ki ab khuda kya hai
aaine mein ye dusra kya hai
sar se pa tak meri nigah mein ho
munh chhupane se faeda kya hai


muskuraata hai jaan le kar bhi
ab khuda jaane chahta kya hai
daw-e-ishq hum to kar baithe
tu suna tera faisla kya hai


hai bahut kuchh abhi to parde mein
dekhta ja abhi hua kya hai
ilm bhi ek hijab hai nadan
jaanta hai to jaanta kya hai


wo khuda ho ki nakhuda ai 'dil'
dubna hai to sochta kya hai
58121 viewsghazalEnglish