kya bataun kisi ko hai kya dosti

By aalam-nizamiDecember 28, 2023
kya bataun kisi ko hai kya dosti
hai gham-e-zindagi ki dawa dosti
na-tawan khud ko mahsus jab bhi kiya
tu ne bakhsha mujhe hausla dosti


dekh kar jis ko lagti hai duniya hasin
hai mohabbat ka wo aaina dosti
raushni ka safar ya andhere ka ho
har safar mein rahi ham-nawa dosti


lakhon ehsan hain tere meri zat par
haq tera kis tarah ho ada dosti
jis se 'alam' mahakta hai mera wajud
khushbuon ki hai aisi faza dosti


72845 viewsghazalEnglish