kya bataun zindagi mein kis qadar tanha raha qafilon ke sath rah kar bhi safar tanha raha ab kisi se dosti hoti nahin hai is liye doston ko aazma kar waqt par tanha raha ya-khuda patthar bana dil ke mere ehsas ko aaine ki shakl mein to umr-bhar tanha raha do dilon ke pyar ka anjam kuchh aisa hua haar kar main khush raha wo jit kar tanha raha 'dew' un ke ruthne se raat guzri is tarah nind un ko bhi na aai main agar tanha raha