kya dastan thi pahle bayan hi nahin hui phir yun hua ki subh azan hi nahin hui duniya ki dashta se zyaada na thi mujhe yun sari umr fikr-e-ziyan hi nahin hui gul-ha-e-lutf ka use ambar karna tha kam-bakht aarzu ki jawan hi nahin hui ta-subh meri lash rahi be-kafan to kya banu-e-sham nauha-kunan hi nahin hui