kya dil ka ye ilaqa Khaali paDa rahega
By ahmad-mahfuzMay 24, 2024
kya dil ka ye ilaqa khali pada rahega
hum tum na honge to bhi mela laga rahega
zakhmon ko ashk-e-khun se sairab kar raha hun
ab aur bhi tumhaara chehra khila rahega
band-e-qaba ka khulna mushkil bahut hai lekin
lekin khula to phir ye uqda khula rahega
sargarmi-e-hawa ko dekha hai pas dil ke
is aag se ye jangal kab tak bacha rahega
khulti nahin hai ya rab kyun nind raftagan ki
kya hashr tak ye aalam soya pada rahega
yaksar hamare bazu shal ho gae hain ya-rab
aakhir daraaz kab tak dast-e-dua rahega

41850 viewsghazal • English