kya gharaz lakh khudai mein hon daulat wale un ka banda hun jo bande hain mohabbat wale chahen gar chaara jarahat ka mohabbat wale bechen almas o namak sang-e-jarahat wale gae jannat mein agar soz-e-mohabbat wale to ye jaano rahe dozakh hi mein jannat wale saqiya hon jo subuhi ki na aadat wale subh-e-mahshar ko bhi utthen na tere matwale dukhtar-e-raz ko nahin chhedte hain matwale hazar us fahisha se karte hain hurmat wale rahe jun shisha-e-saat wo mukaddar donon kabhi mil bhi gae do dil jo kudurat wale kis maraz ki hain dawa ye lab-e-jaan-bakhsh tere jaan-ba-lab hain tere aazar-e-mohabbat wale hirs ke phailte hain panw ba-qadr-e-usat tang hi rahte hain duniya mein faraghat wale hae re hasrat-e-didar meri hae ko bhi likhte hain ha-e-do-chashmi se kitabat wale nahin juz shama mujawir meri baalin-e-mazar nahin juz kasrat-e-parwana ziyarat wale na shikayat hai karam ki na sitam ki khwahish dekh to hum bhi hain kya sabr o qanaat wale kya tamasha hai ki misl-e-mah-e-nau apna farogh jaante apni hiqarat ko hain shohrat wale dil se kuchh kahta hun main mujh se hai kuchh kahta dil donon ek haal mein hain ranj o musibat wale tu gar aa jae to ai dard-e-mohabbat ki dawa mere hamdard hon bedard fazihat wale chhod dete hain qalam jun qalam-e-atish-baz meri sharh-e-tapish-e-dil ki kitabat wale kabhi afsos hai aata kabhi rona aata dil-e-bimar ke hain do hi ayaadat wale tu mere haal se ghafil hai par ai ghaflat-kesh tere andaz-e-taghaful nahin ghaflat wale hum ne dekha hai jo us but mein nahin kah sakte ki mubaada kahin sun paen shariat wale naz hai gul ko nazakat pe chaman mein ai 'zauq' us ne dekhe hi nahin naz-o-nazakat wale