kya ghazab hai ye bulbul ek qahr sa Dhate hain
By yousuf-bin-mohammadMarch 2, 2021
kya ghazab hai ye bulbul ek qahr sa dhate hain
hijr mein visalon ke git gungunate hain
hum ne tere basne ko dil mahal banaya tha
ab viran ghar ke diwar-o-dar ko dhate hain
baadban hamara jo aandhiyon mein khulta hai
nakhuda safine mein gharq khud ko pate hain
ab kahan se dilbar ka mere dil pe jalwa ho
aaina ye dhundla hai aks kya dikhate hain
umr ek guzar jae tab koi shikayat ho
sabr kar ai dil mere dair se wo aate hain
un ki dil-parasti kab mere dil ko bha jati
apni be-niyazi se dil mera lubhate hain
kaisi ye ghazal-khwani kaun hai sukhan-ara
josh mein gada kya kuchh khud se budbudate hain

19433 viewsghazal • English