kya guzar kijiye sayyaad-e-dil-azar ke pas
By abdul-hadi-wafaApril 23, 2024
kya guzar kijiye sayyaad-e-dil-azar ke pas
barg-e-gul phenkta hai murgh-e-giraftar ke pas
tere bimar ki baalin pe khadi hai hasrat
maut baithi nazar aati hai wo gham-khwar ke pas
bar bar aa ke wo thahraate hain sauda dil ka
ghar unhon ne jo banaya hai to bazar ke pas
shakh-e-gul dekh ke saman-e-khalish yaad aaya
rakh diya para-e-dil dil ko har ek khar ke pas
tere darwaza pe fitnon ne liya dam aa kar
thak ke baithi hai qayamat teri diwar ke pas
zahida rahmat-e-bari bhi ba-rang-e-tauba
aa gai tut ke rindan qadah-khwar ke pas
meri khwari hi qayamat mein mere kaam aai
koi aaya na 'wafa' mujh se gunahgar ke pas

77205 viewsghazal • English