kya hai meri zat kya auqat hai kuchh bhi nahin
By abhishek-tiwariOctober 8, 2023
kya hai meri zat kya auqat hai kuchh bhi nahin
teri rahmat ke siwa kya sath hai kuchh bhi nahin
jo bhi hai mujh mein wo tere nam se mujh ko mila
warna is nachiz mein kya baat hai kuchh bhi nahin
meri aankhen rone par aa jaen to phir dekhna
samne un ke ye kya barsat hai kuchh bhi nahin
wo jise duniya se kuchh lena na dena dosto
us ki khatir jit hai kya mat hai kuchh bhi nahin
jis andhere se guzarna ho raha hai in dinon
samne us ke bhala kya raat hai kuchh bhi nahin

12161 viewsghazal • English