kya hina KHun-rez nikli hae pis jaane ke baad

By jaleel-manikpuriNovember 2, 2020
kya hina khun-rez nikli hae pis jaane ke baad
ban gai talwar un ke hath mein aane ke baad
jam-e-jam ki dhum hai sare jahan mein saqiya
manta hun main bhi lekin tere paimane ke baad


shukriya waiz jo mujh ko tark-e-mai ki di salah
ghaur main is par karunga hosh mein aane ke baad
shama mashuqon ko sikhlati hai tarz-e-ashiqi
jal ke parwane se pahle bujh ke parwane ke baad


aashna ho kar buton ke ho gae haq-ashna
hum ne kabe ki bina dali hai but-khane ke baad
main karun kis ka nazara dekh kar tera jamal
main sunun kis ka fasana tere afsane ke baad


sham-e-mahfil ka hua ye rang un ke samne
phul ki hoti hai surat jaise murjhane ke baad
sach ye kahte hain ki hansne ki jagah duniya nahin
chashm-e-ibrat hain chaman ke phul murjhane ke baad


fikr o kawish ho to niklen mani-e-rangin 'jalil'
lal ugalti hai zaban khun-e-jigar khane ke baad
86822 viewsghazalEnglish