kya irada hai mere yar kahan jata hai tez itni hai jo raftar kahan jata hai teri manzil to kisi aur taraf hai aur tu ai mere qafila-salar kahan jata hai aa zara der kahin baith ke baaten kar len chhod bazar ko bazar kahan jata hai phirta rahta hai mazafat mein tere din-raat dur ab tera giraftar kahan jata hai tere chehre ki chamak bol rahi hai khud hi is qadar ho ke ye tayyar kahan jata hai pahle mumkin tha magar ab ye nahin hai mumkin ab mere dil ka ye aazar kahan jata hai main chhupaun bhi to ye baat kahan chhupti hai sab ko malum hai bimar kahan jata hai kar-e-duniya bhi nahin hai ye faqiri bhi nahin be-niyaz-e-kam-o-bisyar kahan jata hai ye tere chalne ka andaz nahin hai bilkul tera jaana hai pur-asrar kahan jata hai us ki taqdir mein likkha hai jahan hai wahin ho kisi jaanib koi kohsar kahan jata hai hai tujhe dhup mein jalne ka bahut shauq 'hanif' chhod kar saya-e-diwar kahan jata hai