kya jaaniye us nam mein kya bhed bhara tha

By ahmad-mahfuzApril 7, 2023
kya jaaniye us nam mein kya bhed bhara tha
sunte hi jise raat koi chaunk pada tha
us shor ko sun sun ke ye dil kanp gaya tha
jaise koi meri hi tarah chikh raha tha


us ko bas udhar ek hi dhun thi aur idhar main
bigdi hui ek baat banane mein laga tha
hairani yahi thi ki chamak kaisi hai dil mein
phir aaj jo ek zakhm ko dekha to hara tha


kal girya-e-paiham ne meri jaan bachai
main zabt ki diwar ke malbe mein daba tha
wo sard samaat mein mujhe dhund rahi thi
main shoala-e-izhaar ke baatin mein chhupa tha


74659 viewsghazalEnglish