kya kahun kya mila hai kya na mila
By ravish-siddiqiNovember 14, 2020
kya kahun kya mila hai kya na mila
dil bhi shayan-e-dilruba na mila
talkhi-e-zindagi are tauba
zahr mein zahr ka maza na mila
hum ko apni khabar na daman ki
chashm-e-rahmat ko ek bahana mila
lakh milne ka ek milna hai
ki hamein izn-e-iltija na mila
fitna-e-rind-o-mohtasib tauba
barmala koi parsa na mila
thi badi bhid us ke kuche mein
khizr aae the rasta na mila
kis se miliye 'rawish' ki dilli mein
sab mile wo khud-ashna na mila
dil bhi shayan-e-dilruba na mila
talkhi-e-zindagi are tauba
zahr mein zahr ka maza na mila
hum ko apni khabar na daman ki
chashm-e-rahmat ko ek bahana mila
lakh milne ka ek milna hai
ki hamein izn-e-iltija na mila
fitna-e-rind-o-mohtasib tauba
barmala koi parsa na mila
thi badi bhid us ke kuche mein
khizr aae the rasta na mila
kis se miliye 'rawish' ki dilli mein
sab mile wo khud-ashna na mila
89568 viewsghazal • English