kya karte kahin aur Thikana hi nahin tha

By ahmad-mahfuzApril 7, 2023
kya karte kahin aur thikana hi nahin tha
warna hamein is kuche mein aana hi nahin tha
hangama-e-wahshat tha jahan jashn-e-junun mein
dekha to wahan koi diwana hi nahin tha


wo dil ki lagi hai ki bujhae nahin bujhti
kal raat gale us ko lagana hi nahin tha
milta hai to ab aankh mila bhi nahin pata
wo khwab use yaad dilana hi nahin tha


jab dekho usi yaad ke narghe mein pade ho
ye haal agar hai to bhulana hi nahin tha
tariki-e-sahra mein daraati hai ek aawaz
yun dil ko sar-e-sham bujhana hi nahin tha


wo shakhs jise soch ke aankhon mein gai raat
'mahfuz' use dhyan mein lana hi nahin tha
13858 viewsghazalEnglish