kya kasa-e-mai lijiye is bazm mein ai ham-nashin daur-e-falak se kya khabar pahunchega lab tak ya nahin ye kasa-e-firozgun hai shisha-baz-e-pur-funun jitne hiyal hain aur fusun sab us ke hain zer-e-nagin ho e'timad us ka kise hai shisha-bazi yaad use rakhta hai shad ek dam jise karta hai phir andohgin kal daman-e-sahra mein hum guzre jo waqt-e-subh-dam ek kasa-e-sar par alam aaya nazar apne wahin bola ba-fariyaad-o-fughan kya dekhta hai o miyan the hum bhi sar-bar-asman go ab to hain zer-e-zamin gul-barg se nazuk-badan sar panw se rashk-e-chaman zarrin o simin pairahan dilkash makanon ke makin din raat naz o nematen mah-talaton ki sohbaten aish-o-nashat-o-ishraten saqi qiran mutrib qarin bagh-o-chaman pesh-e-nazar bazm-e-tarab sham-o-sahar har-su ba-kasrat jalwa-gar husn-e-butan-e-naznin ek aasman ke daur se ek gardish-e-fil-faur se ab sochiyega ghaur se dar-lahza-an dar-lahza-in sunte hi ji tharra gaya rukhsar par ashk aa gaya dil ibraton se chha gaya khatir hui bas sahmagin us mein sar apna na-gahan har mu hua misl-e-zaban bola 'nazir' aagah ho han man-niz-roze ham-chunin