kya khabar thi ishq mein ye bhi sitam ho jaega aankh mein aansu na honge dard kam ho jaega apne aibon dusron ki khubiyon par rakh nazar tu bhi duniya ki nazar mein mohtaram ho jaega mere aansu jaise un ki aankh se bahne lage kya kabhi ye moajiza ai chashm-e-nam ho jaega kis ko tha malum hansta khelta bachpan mera muflisi ki zad mein aa ke waqf-e-gham ho jaega pasta-qad logon mein 'farhat' sar-bulandi jurm hai dekhna tera bhi ek din sar qalam ho jaega