kya KHabar thi ranjishen hi darmiyan rah jaengi

By ashok-mizaj-badrOctober 27, 2020
kya khabar thi ranjishen hi darmiyan rah jaengi
hum gale milte rahenge duriyan rah jaengi
ye nagar bhi kar-khanon ka nagar ho jaega
in darakhton ki jagah kuchh chimniyan rah jaengi


dhire dhire shor sannaton mein gum ho jaega
aur sadkon par chamakti batiyan rah jaengi
raat jis dam apne kambal mein chhupa legi hamein
hath malti aur thithurti sardiyan rah jaengi


hum ne socha tha ki un ka hath hoga hath mein
kya khabar thi hath mein bas chitthiyan rah jaengi
ye tamasha aur thodi der tak hoga abhi
phir yahan bas khali khali kursiyan rah jaengi


aag thodi der ko bujh jaegi lekin mizaj
rakh ke niche dabi chingariyan rah jaengi
51135 viewsghazalEnglish