kya kisi rabte mein rakkha hai
By aamir-azherApril 21, 2024
kya kisi rabte mein rakkha hai
hum ne dil raste mein rakkha hai
ab khudaon ki kya zarurat hai
aaina but-kade mein rakkha hai
na tumhaari khata hai na meri
masala masale mein rakkha hai
raat rakkhi hai us ne din ke baad
aap ko faede mein rakkha hai
us ko andaz hai tasalsul ka
zulf ko silsile mein rakkha hai
kya rakha hai purani chizon mein
jo naya hai nae mein rakkha hai
agle waqton pe soch kar 'amir'
waqt ko qaede mein rakkha hai
hum ne dil raste mein rakkha hai
ab khudaon ki kya zarurat hai
aaina but-kade mein rakkha hai
na tumhaari khata hai na meri
masala masale mein rakkha hai
raat rakkhi hai us ne din ke baad
aap ko faede mein rakkha hai
us ko andaz hai tasalsul ka
zulf ko silsile mein rakkha hai
kya rakha hai purani chizon mein
jo naya hai nae mein rakkha hai
agle waqton pe soch kar 'amir'
waqt ko qaede mein rakkha hai
72644 viewsghazal • English