kya koi din bacha hai na banda hisab de

By shamsa-najmFebruary 29, 2024
kya koi din bacha hai na banda hisab de
duniya mein bhi salib pe mar ke jawab de
kar de karishma aisa ubur-e-kitab de
dena tu jis ko chahe use be-hisab de


suraj ki aarzu mein kuchal dali kahkashan
kis khak mein the kitne sitare hisab de
rahmat ke sath chahun raza-e-khuda bhi ho
mahshar ke roz bakhsh na koi itab de


yun aaine se dil ke tu har zang ko mita
is dil ke aaine ko nai aab-o-tab de
pahunchun jo main salam malaek mujhe kahen
bakhshish ho yun ki saqi-e-kausar sharab de


ab 'ishq ka gunah to sarzad hua hi hai
chahe 'azab de tu ki chahe sawab de
ab roz ki tarah tu na yun lait-o-lal kar
kar dar-guzar gunah tu musbat jawab de


jalwa 'ata ho hashr ke maidan mein mujhe
aur mustazad mujh ko tu jalwe ki tab de
79685 viewsghazalEnglish