kya kya badal gae hain andaz aadmi ke

kya kya badal gae hain andaz aadmi ke
paisa hi ab khuda hai parde mein bandagi ke

office mein late aana pahchan afsaron ki
aur qisse chhedte hain daftar mein dil-lagi ke

rishwat ko haq samajh kar bharte hain jeb apni
har tarah kar rahe hain saman behtari ke

hain be-zamir phir bhi dawa hai leaderi ka
ab wote mangte hain talib hain membari ke

bas nam rah gaya hai insaf ab kahan hai
haq apna kis se mangen mazlum is sadi ke

afsane nekiyon ke be-jaan ho rahe hain
mansube ban rahe hain ab chaar su badi ke

kya inqalab aaya badli hawa kuchh aisi
bete bane minister imran mistiri ke

waiz bhi aaj-kal ke mai-khwar ho gae hain
dete hain waz hum ko aksar sharab pi ke

qismat se wo hamare hukkaam ban gae hain
hote the roz charche jin ki sitamgari ke

banti thi pahle sabzi ghi ka baghaar de kar
sabzi se ban rahe hain ab dabbe roz ghi ke

wo kaun hai jo badh kar aawaz-e-haq uthae
sab surma bane hain unwan-e-buzdili ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close