kya kya na dawa khai la-haul wala quwwat

By masroor-shahjahanpuriNovember 21, 2021
kya kya na dawa khai la-haul wala quwwat
aai na tawanai la-haul wala quwwat
hum ko gham-e-furqat mein do din hi bukhar aaya
kya shakl nikal aai la-haul wala quwwat


mushkil se sanbhaala tha hum ne dil-e-nadan ko
phir chal padi purwai la-haul wala quwwat
hum gas pe rakkhe hain aur un ko idhar aae
angdai pe angdai la-haul wala quwwat


phir shor kiya us ne phir aa gae ghar wale
phir dal na gal pai la-haul wala quwwat
sab meat mutton ghaeb parhez pe lanat ho
jab dekhiye chaulai la-haul wala quwwat


ghar mein to sabhi suten har roz chicken aur hum
majbur tamashai la-haul wala quwwat
99777 viewsghazalEnglish