kya kya na dosti ke janaze uThae hain

kya kya na dosti ke janaze uthae hain
thak-haar kar adu ke ilaqe mein aae hain

aa dekh zindagi teri izzat ke waste
zakhmi labon se hum ne tabassum lutae hain

kis se karen sawal ke aawa bhi chahiye
hum ne bhi chaak par kai kuze banae hain

tezab chhidke jaenge ru-e-gulab par
sunte hain gulistan mein wo tashrif lae hain

mazi ko haal karne ki ye bhi hai ek lalak
aawaz tu ne di hai to hum laut aae hain

hum par hi raushni ki imamat hui tamam
hum ne diye hawaon ke ghar mein jalae hain

sahra mein zindagi ki alamat bhi dhundhna
hum bhi kai suragh wahan chhod aae hain

khinchi thi tum ne hadd-e-wafa ki jahan lakir
hum hasraten tamam wahan chhod aae hain

ye hai kisi ke gham ki shariat ka ehtimam
aankhen meri zarur hain aansu parae hain

tohfe mein tum ne bheje the bujhte diye tamam
aur hum tumhaare waste 'khurshid' lae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close