kya kya supurd-e-khak hue namwar tamam ek roz sab ko karna hai apna safar tamam meri nazar ne lut liye jalwa-ha-e-husn hasrat se dekhte hi rahe dida-war tamam tum ne to apna kah ke mujhe lut hi liya matam-kunan hai mere liye ghar ka ghar tamam mana ki mere lab na hile roab-e-husn se rudad-e-dil to kah hi gai chashm-e-tar tamam ab didani hai aap ke bimar-e-gham ka haal mayus aa rahe hain nazar chaara-gar tamam rah-e-wafa mein had se hum aage guzar gae do-gam chal ke baith gae rahbar tamam chhode hain hum ne naqsh-e-mohabbat har ek jagah waqif hamare haal se hain baam-o-dar tamam