kya kya tere firaq mein yun kar nahin gaya

By shahbaz-choudharyJanuary 5, 2024
kya kya tere firaq mein yun kar nahin gaya
lekin hudud-e-zat ke bahar nahin gaya
rah-e-wafa mein teri tasalli ke bawajud
tanha kategi 'umr yahi dar nahin gaya


kahta tha mujh se jo ki sitaron se mang bhar
phirta yahin wahin hai falak par nahin gaya
mujh se bichhad ke teri bhi shah-rag nahin kati
tujh se bichhad ke main bhi koi mar nahin gaya


zid thi ki tujh sa dhund ke lautunga ganw ko
is justuju mein aaj bhi main ghar nahin gaya
54136 viewsghazalEnglish