kya mein kya etibar mera
By qayem-chaa.ndpuriNovember 12, 2020
kya mein kya e'tibar mera
khwari bas iftikhar mera
naseh bole hai yun ki goya
dil par hai kuchh ikhtiyar mera
ai shah-sawar and-kai johd
zakhmi hai nipat shikar mera
tuk bachiyo saba ki har qadam par
us kuche mein hai ghubar mera
wo kashti-e-mai de ab ke saqi
jis mein khewa ho par mera
sad-bahr dar-astin hai jo abr
wo jeb hai ya kanar mera
'qaem' hun agarche hech lekin
kya kya kuchh hai e'tibar mera
khwari bas iftikhar mera
naseh bole hai yun ki goya
dil par hai kuchh ikhtiyar mera
ai shah-sawar and-kai johd
zakhmi hai nipat shikar mera
tuk bachiyo saba ki har qadam par
us kuche mein hai ghubar mera
wo kashti-e-mai de ab ke saqi
jis mein khewa ho par mera
sad-bahr dar-astin hai jo abr
wo jeb hai ya kanar mera
'qaem' hun agarche hech lekin
kya kya kuchh hai e'tibar mera
26069 viewsghazal • English