kya milega sukun ki wahshat hai

By mohammad-haneefJune 9, 2021
kya milega sukun ki wahshat hai
ho ke bekal phirun ki wahshat hai
kisi jaanib bhi dil nahin lagta
ishq hai ya junun ki wahshat hai


daudta hun idhar-udhar kaise
be-qarari hai chun-ki wahshat hai
katti hai ye jhonpdi mujh ko
us ki jaanib chalun ki wahshat hai


ye mera iztirab hai kya hai
hai ye haal-e-zabun ki wahshat hai
hai ye koi fusun ki wahshat hai
kuchh pareshan hun ki wahshat hai


59021 viewsghazalEnglish