kya pata kya soch kar Darne laga

By syed-masood-naqviJanuary 5, 2024
kya pata kya soch kar darne laga
wo achanak hao-hu karne laga
is liye main ho gaya tum se alag
khokhle rishton se ji bharne laga


wo qayamat ki ghadi thi wasl mein
husn jab ghayal mujhe karne laga
ab darindon ko mubarakbaad do
aadmi se aadmi darne laga


waqt kar dega use bhi raegan
waqt ko jo raegan karne laga
ek chehra dekhta hun khwab mein
ek khwahish par ye dil marne laga


26662 viewsghazalEnglish