kya rafu karne laga hai ja bhi nadan yak taraf
By gulam-yahya-huzur-azimabadiNovember 10, 2020
kya rafu karne laga hai ja bhi nadan yak taraf
phat chali chhati koi dam mein gareban yak taraf
chandni mein kal nikal baitha tha wo khurshid-ru
dekhta tha main khada goshe mein pinhan yak taraf
turfa haalat thi kabhi hum ne na dekha tha 'huzur'
mah-e-taban yak taraf mehr-e-darakhshan yak taraf

68589 viewsghazal • English