kya sach-much aap mere pas aana chahte hain

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
kya sach-much aap mere pas aana chahte hain
ya sirf mere dil ko dahlana chahte hain
sari haqiqaton ki sham'on ki lau katar do
ab log raushni ka afsana chahte hain


aaghosh-e-wasl ab bhi kitni riwayati hai
shadi-shuda badan bhi sharmana chahte hain
sab masjiden gira kar sab mandiron ko dha kar
hum ek sharab-khana banwana chahte hain


bhar jaen sab purane zakhmon se koi kah de
kitne bahut se taza zakhm aana chahte hain
hum kitna chahte hain ab tujh se kya bataen
chaubis ghante har pal rozana chahte hain


pani ka bulbula bhi kahte hain aap is ko
phir aap is badan ko kyon pana chahte hain
‘ehsas-farhat’ ab hain kal the jo 'farhat-ehsas'
diwan apna ulta chhapwana chahte hain


36164 viewsghazalEnglish