kya sitam hai ki madad-gar samajh lete hain
By wasim-nadirJanuary 5, 2024
kya sitam hai ki madad-gar samajh lete hain
sab tumhein mera taraf-dar samajh lete hain
hum ne pazeb mein lipti hui aahen bhi suni
aap jhankar ko jhankar samajh lete hain
baat agar dub ke marne ki hi thahri to hum
ek aansu ko bhi majdhaar samajh lete hain
mujh ko aati hai hansi sar se bandhe kapdon ko
log kis shauq se dastar samajh lete hain
kya himaqat hai ki hum sada tabi'at wale
khamushi ko teri inkar samajh lete hain

41675 viewsghazal • English