kya sunaen haal-e-dil izhaar ke qabil nahin

By azmat-bhopaliOctober 3, 2021
kya sunaen haal-e-dil izhaar ke qabil nahin
lutf hi kya zindagi mein tum agar shamil nahin
ek zara si thes pahunchi tukde tukde ho gai
koi shisha hai mere sine mein shayad dil nahin


muskura deta hun aksar gardish-e-haalat par
sochta hun zer-e-pa ab kaun si manzil nahin
gham diye duniya ne lekin mujh ko pahchane baghair
koi gham shayan-e-mauj-e-iztirab-e-dil nahin


jaane le aai hamein kis mod par diwangi
dhundne nikle the jis ko hum ye wo manzil nahin
kis tarah aae teri surat nazar ke samne
dil ka aaina hi jab taswir ke qabil nahin


ek musalsal dard-e-manzil ek jehd-e-mustaqil
koi lamha zindagi mein lamha-e-hasil nahin
chhod kar 'azmat' ko tanha ham-safar kahne lage
aisa diwana hamare sath ke qabil nahin


15940 viewsghazalEnglish