kya sunaun dil-e-muztar ka fasana tumko

kya sunaun dil-e-muztar ka fasana tum ko
main ne chaha tha kabhi ek zamana tum ko

ye jo tum eid pe bhi aate nahin laut ke ghar
koi chhutti ka nahin hota bahana tum ko

bistar-e-marg pe man thi to na the samne tum
bahut hi mahnga pada hai chale jaana tum ko

ganw ke kachche makanon mein ye pakke rishte
ras aaega nahin shahr ka khana tum ko

har mahine ye nae note ye khat kya matlab
na manao nahin aata hai manana tum ko

ek kamra hai kirae ka ye bazari ghiza
shahr mein kaise mile shahi thikana tum ko

aakhiri khat ko padho us mein milega 'maham'
bhul jaane ka use koi bahana tum ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close