kya yaqin aur kya guman chup rah

By jaun-eliyaNovember 2, 2020
kya yaqin aur kya guman chup rah
sham ka waqt hai miyan chup rah
ho gaya qissa-e-wajud tamam
hai ab aaghaz-e-dastan chup rah


main to pahle hi ja chuka hun kahin
tu bhi jaanan nahin yahan chup rah
tu ab aaya hai haal mein apne
jab zamin hai na aasman chup rah


tu jahan tha jahan jahan tha kabhi
tu bhi ab to nahin wahan chup rah
zikr chheda khuda ka phir tu ne
yan hai insan bhi raegan chup rah


sara sauda nikal de sar se
ab nahin koi aastan chup rah
ahrman ho khuda ho ya aadam
ho chuka sab ka imtihan chup rah


darmiyani hi ab sabhi kuchh hai
tu nahin apne darmiyan chup rah
ab koi baat teri baat nahin
nahin teri teri zaban chup rah


hai yahan zikr-e-haal-e-maujudan
tu hai ab az-guzishtagan chup rah
hijr ki jaan-kani tamam hui
dil hua 'jaun' be-aman chup rah


83317 viewsghazalEnglish