kyari kyari Khaali hai
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
kyari kyari khali hai
gahri soch mein mali hai
rang hai wo udne wala
ek taswir bana li hai
hath hawaon mein lahrae
gadi jaane wali hai
na-manus lab-o-lahja
surat dekhi-bhaali hai
maen darwazon par hain
barish hone wali hai
kuchh nahin us ki mutthi mein
mera hath bhi khali hai
phir ifsha ek raaz hua
phir ek baat chhupa li hai
lahrai zakhmon ki fasl
badan badan hariyali hai
ab ye budhi duniya 'jamal'
aankh jhapakne wali hai
gahri soch mein mali hai
rang hai wo udne wala
ek taswir bana li hai
hath hawaon mein lahrae
gadi jaane wali hai
na-manus lab-o-lahja
surat dekhi-bhaali hai
maen darwazon par hain
barish hone wali hai
kuchh nahin us ki mutthi mein
mera hath bhi khali hai
phir ifsha ek raaz hua
phir ek baat chhupa li hai
lahrai zakhmon ki fasl
badan badan hariyali hai
ab ye budhi duniya 'jamal'
aankh jhapakne wali hai
34380 viewsghazal • English