kyon bhala aadha-adhura ishq kije
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
kyon bhala aadha-adhura 'ishq kije
she'r kahiye 'ishq par ya 'ishq kije
jo likha hai jo padha hai jo kiya hai
sab bhula degi ye duniya 'ishq kije
hai siwae 'ishq khud-mukhtar koi
'ishq ke dam se hai duniya 'ishq kije
aap la-sani hain la-fani bhi hain kya
roiye mat ek sachcha 'ishq kije
ye zamane ka gila kyon aur kab tak
kuchh nahin hai ye zamana 'ishq kije
mere murshid ne kaha phir muskura kar
aur khil utthega chehra 'ishq kije
she'r kahiye 'ishq par ya 'ishq kije
jo likha hai jo padha hai jo kiya hai
sab bhula degi ye duniya 'ishq kije
hai siwae 'ishq khud-mukhtar koi
'ishq ke dam se hai duniya 'ishq kije
aap la-sani hain la-fani bhi hain kya
roiye mat ek sachcha 'ishq kije
ye zamane ka gila kyon aur kab tak
kuchh nahin hai ye zamana 'ishq kije
mere murshid ne kaha phir muskura kar
aur khil utthega chehra 'ishq kije
31766 viewsghazal • English