kyon bigaDi baat ulTi baat se

By syed-masood-naqviJanuary 5, 2024
kyon bigadi baat ulti baat se
ban rahi thi baat sidhi baat se
jhut ko sach baat main ne kya kaha
sab hue hairan meri baat se


kya 'ajab hain bhuke mere desh ke
bhar rahe hain pet khali baat se
kis qadar jaldi mein hai ye aadmi
tang aa jata hai aadhi baat se


haar kar dil se hua ehsas ye
kuchh nahin banta siyasi baat se
an-suna mujh ko kiya aur ye kaha
muttafiq hun main tumhaari baat se


ab hamare kaam ke tum ho nahin
bhar gaya hai dil tumhaari baat se
38868 viewsghazalEnglish