kyon hain wo tegh ba-kaf aur KHafa kya jaane

By fazal-husain-sabirApril 24, 2021
kyon hain wo tegh ba-kaf aur khafa kya jaane
aaj kis shakhs ki aai hai qaza kya jaane
tera bimar-e-gham-e-hijr shifa kya jaane
kaisi hoti hai dawa aur dua kya jaane


hum se puchho hamein malum hai hum jaante hain
ghair kam-bakht mohabbat ka maza kya jaane
dur ho pas se kam-bakht tabib-e-nadan
tu bhala dard-e-mohabbat ki dawa kya jaane


puchha jab main ne ki ai jaan mera dil hai kahan
ban ke anjaan sitam-gar ne kaha kya jaane
mai-e-angur ki karta hai mazammat waiz
is ki lazzat ko tu ai mard-e-khuda kya jaane


bulbul-e-zar hai muddat se asir-e-sayyaad
aaj-kal kaisi hai gulshan ki hawa kya jaane
yar kam-sin bhi hai nadan bhi hai ai 'sabir'
wo abhi dil ke lubhane ki ada kiya jaane


84803 viewsghazalEnglish