kyon ho mujhse KHafa kaho to sahi
By aalam-nizamiDecember 28, 2023
kyon ho mujh se khafa kaho to sahi
kya hai meri khata kaho to sahi
hanste hanste chhalak padin aankhen
kaun yaad aa gaya kaho to sahi
is qadar hum se barhami kyon hai
kis ne kya kah diya kaho to sahi
shisha-e-dil ko tod kar mere
aap ko kya mila kaho to sahi
kis ne kis ko bhula diya aakhir
kaun hai be-wafa kaho to sahi
jaan-lewa hain hijr ke lamhe
ab na honge juda kaho to sahi
khoe khoe se rahte ho 'alam'
ye tumhein kya hua kaho to sahi
kya hai meri khata kaho to sahi
hanste hanste chhalak padin aankhen
kaun yaad aa gaya kaho to sahi
is qadar hum se barhami kyon hai
kis ne kya kah diya kaho to sahi
shisha-e-dil ko tod kar mere
aap ko kya mila kaho to sahi
kis ne kis ko bhula diya aakhir
kaun hai be-wafa kaho to sahi
jaan-lewa hain hijr ke lamhe
ab na honge juda kaho to sahi
khoe khoe se rahte ho 'alam'
ye tumhein kya hua kaho to sahi
15515 viewsghazal • English