kyon teri garmi-e-guftar ke qabil hota

kyon teri garmi-e-guftar ke qabil hota
mere sine hi mein rahta jo mera dil hota

shauq-e-warafta-mizaji mein jo kaamil hota
mera ek ek nafas jada-e-manzil hota

aam hona thin mohabbat ki bahaaren warna
dard agar dard na hota to mera dil hota

kaun tujh se meri rudad-e-mohabbat kahta
main agar sirf tamashai-e-mahfil hota

main hi kyon tere taghaful ki shikayat karta
main hi kyon bais-e-ruswai-e-mahfil hota

khizr aa kar jo meri rahnumai karta
phir qadam apne uthana mujhe mushkil hota

mera pana mera khona tujhe aasan tha magar
tujh ko kho kar tera pana mujhe mushkil hota

teri maghrur nigahi are tauba tauba
kash iqrar-e-mohabbat mera baatil hota

rah-e-manzil mein tere naqsh-e-qadam bhi na mile
warna manzil pe pahunchna mujhe mushkil hota

haal-e-dil us ne kabhi mujh se na puchha warna
haal-e-dil us se chhupana mujhe mushkil hota

tum ne achchha hi kiya meri taraf rukh na kiya
warna mahfil se uthana mera mushkil hota

hum hi tufan se manus nahin the ‘afsun’
warna tufan ka aaghosh hi sahil hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close