kyon toD diye jate hain samar kamzor shajar ki Daliyon se
By hina-ambareenFebruary 6, 2024
kyon tod diye jate hain samar kamzor shajar ki daliyon se
maike se bhi dil kat jata hai milta bhi nahin sasuraliyon se
aankhon mein utar aati thi nami hum mukhlis the par log nahin
jazbaat sanbhal nahin pate the munh bhar jata tha galiyon se
ek kachchi 'umr ki ladki ke kuchh khwab the kuchh aashaen thin
aur 'ishq tha us ke bachpan ka is bagh mein rahne waliyon se
aankhon mein lajja ka surma tha galon pe haya ki lali thi
mathe pe safedi chandi ki kanon ki sundarta baaliyon se
'izzat ka kachumar banta hai mitti mein milati hai ghurbat
paise ke pujari jhukte hain karte hain suwagat taliyon se
'ushshaq-e-azal ki qismat mein likkhi hai sarasar bezari
kya uns kisi but-khane se kya nisbat un ki galiyon se
dil lagti baat kahen to ye achchha jo lage wo achchha hai
hote hain mubarra 'ishq ke salik goriyon se aur kaliyon se
thukrae huon ke aaqa hain tadpae huon ke marham hain
kabhi aa ke tasalli khwab mein den kabhi jhanken sunahri jaliyon se

42156 viewsghazal • English