kyun aankh se surkhi ab chhalki hui lagti hai ye nind ki rani bhi ruthi hui lagti hai yaadon ka tasalsul hai ghanghor judai hai sawan ki tarah ye bhi chhai hui lagti hai sujhe na mudawa kyun khud mere masiha ko zakhmon ki tarah chahat risti hui lagti hai aawaz ye kis ne di phir yaad ye kaun aaya be-tabi-e-dil kuchh kuchh sambhali hui lagti hai guzri hai gulabon ko daman mein khizan bhar ke har shakh-e-chaman lekin mahki hui lagti hai bazar-e-mohabbat ke tajir hain sitam-pesha ai 'bano' teri qimat lagti hui lagti hai