kyun asir-e-gesu-e-kham-dar-e-qatil ho gaya hae kya baithe-bithae tujh ko ai dil ho gaya koi nalan koi giryan koi bismil ho gaya us ke uthte hi digar-gun rang-e-mahfil ho gaya intizar us gul ka is darja kya gulzar mein nur aakhir dida-e-nargis ka zail ho gaya us ne talwaren lagain aise kuchh andaz se dil ka har arman fida-e-dast-e-qatil ho gaya qais-e-majnun ka tasawwur badh gaya jab najd mein har bagula dasht ka laila-e-mahmil ho gaya ye bhi qaidi ho gaya aakhir kamand-e-zulf ka le asiron mein tere 'azad' shamil ho gaya