kyunkar gali mein is ki main ai ham-rahan rahun is aarzu-e-dil pe hai wan to na han na hun pata hun main jahan use hote hain wan mukhil hairan hun ab ki raaz-e-dil us se kahan kahun bas band kar zaban ki sune ai zaban-daraaz kab tak teri zaban se koi kam zaban-zubun shahr-e-tarab se shakl-e-gunahgar dil mera aakhir hua ba-dosti-e-dil-baran barun zahir hai qatl-e-ashiq-e-muztar ki khun se surkh hai qasr-e-khana ka tere ai dil-sitan sutun qail ba-dil hun tab amal-e-hub ka main ki jab us shokh se ba-jadd-o-kad-e-amilan milun be-yar jab lage mujhe zindan se ghar batar barbaad kyunki ishq mein phir khandan na dun kya khak aab-dari-e-tegh us se ho ki hai wo chashm-e-surma-sa jo ba-sang-e-fasan fusun 'jurat' zi-bas hain ahl-e-jahan harf-e-na-shunu dakhil sukhan main kyunki ba-gosh-e-giran karun