kyunkar na KHush ho sar mera laTakka ke dar mein

kyunkar na khush ho sar mera latakka ke dar mein
kya phal laga hai nakhl-e-tamanna-e-yar mein

chaha bahut wali na mua hijr-e-yar mein
mahbub kya ajal bhi nahin ikhtiyar mein

mubaf surkh kyun na ho gesu-e-yar mein
shab-khun yani late hain shubha-e-tar mein

mubaf hai kinare ka zulf-e-nigar mein
ya barf kaundti hai ye abr-e-bahaar mein

rahat ke sath ranj bhi hai rozgar mein
hansne pe gul ke roti hai shabnam bahaar mein

pinhan hua hai khal-e-khat-e-mushk-bar mein
milta nahin hai dhundhe se nafa tatar mein

mar jaunga khayal-e-rukh-o-zulf yar mein
aa jaegi ajal isi lail-o-nahaar mein

lipti hai choti yar ki phulon ke haar mein
sumbul ne gul khilae hain fasl-e-bahaar mein

aaun na aap mein jo wo aae kanar mein
rakhkhun main apni tarah use intizar mein

sabza tak apni qabar ka khwabida ho gaya
par hum ko nind aai na ek dam mazar mein

o barq-e-tur ta-ba-kuja lan-taraniyan
pathra gain hain aankhen mere intizar mein

jaen kab aashna teri dariya ki sair ko
ashk-e-rawan se rakhti hain dariya kanar mein

ye kis ne aa ke qabar pe bechain kar diya
kya so rahi thi chain se kunj-e-mazar mein

aaya hai khwab bhi shab-e-wada agar hamein
aankhen khuli rahi hain tere intizar mein

khak-e-chaman se kya hai mera kalbad bana
daghon se gul jo khilte hain fasl-e-bahaar mein

baad az fana bhi husn-parasti se kaam hai
aaina san safai hai sang-e-mazar mein

aansu bahaun aankhon se us ko laga ke main
moti piroun yar ki phulon ke haar mein

kyun munh se bolta nahin nikla hai ab to khat
darwaza band bagh ka mat kar bahaar mein

rote hain yaad gauhar-e-dandan mein un din
moti bhare hain misl-e-sadaf yan kanar mein

kahiye wo lal-e-lab khat-e-mushkin mein dekh kar
paida hua hai lal-e-badakhshan tatar mein

farhad ki ye aankhen hain shirin ko dhundhte
ab dil ghazal phirti nahin kohsar mein

muzi hai charkh is se nahin kaj-rawi baid
sach yun hai rasti nahin raftar mein

tujh bin nahin ye jalwa-numa shab ko mahtab
chashm-e-falak safed hue intizar mein

to sun ke sath daudun jo main mana karun
zalim anan-e-sabr nahin ikhtiyar mein

phulon ka haar ban gaya hai motiyon ka haar
aisa khushi se phul gaya dast-e-yar mein

nafrat ye in gulon ko hai marne ke baad bhi
hota nahin hai gul mere sham-e-mazar mein

gesu ko us ki kuchh nahin parwa-e-naqd-e-dil
ye mal wo hai jo hai sab chashm-e-yar mein

deti hai na-tawani agar rukhsat-e-chaman
phansta hun dam-e-mauj-e-nasim-e-bahaar mein

karta hai koi turk-dila neza-baziyan
dumbaala surme ka ye nahin chashm-e-yar mein

pisega ustukhan asar-e-iztirab-e-dil
aalam ab aasiya ka hai sang-e-mazar mein

bagh-e-jahan mein aish ke fursat bahut hai kam
labrez jam-e-umr hai gul ka bahaar mein

kis mah-wash se raat ham-aghosh hum hue
aalam hilal ka hai hamare kanar mein

masl-e-hina hai ghair ki hathon mere bahaar
sarsabz agarche hon chaman-e-rozgar mein

aata hai jab wo tan mein mere jaan aati hai
jaane mein misl-e-umr nahin ikhtiyar mein

allah re safai-e-rukh-e-yar dekhna
hairan hai aaina kaf-e-aina-dar mein

apne gale ke haar ke gar wo chadhae phul
phula na phir samaun main kunj-e-mazar mein

gar peshwa-e-khalq hai zahid to kya hua
tasbih ka imam nahin hai shumar mein

mazmun teri kamar ka hai kya aaj banda gaya
anqa phansa hai un ki dam-e-shikar mein

jhadti hain munh se phul jo karta hai baat tu
tujh sa nahin hai gul chaman-e-rozgar mein

qasid to saf kah di mukaddar hai mujh se kya
likha jo nama yar ne khat-e-ghubar mein

talwar le jo hath mein ban jae shakh-e-gul
sausan ka phul hue sipar dast-e-yar mein

ye kis ne aa ke qabr ko raunda hai paon se
aati hai bu-e-gul meri khak-e-mazar mein

baad az fana bhi khwahish-e-didar-e-yar hai
rauzan koi zarur hai mere mazar mein

jab raat hoti hai to sitare nikalte hain
afshan zarur chahiye the zulf-e-yar mein

kis ko ye hosh hai jo kare chaak jeb ko
bahar hon apne jame se fasl-e-bahaar mein

farmaish apni dekhne walon pe karti hain
aankhon ke dore hon mere phulon ke haar mein

panw se apne aaegi sahra mein bhi bahaar
chhaale hamare phul piroenge khar mein

wajib hai aab-e-tegh se kar lijiye wazu
sajda jo kijiye kham-e-abru-e-yar mein

dariya mein us ki tir-e-mizha ka pade jo aks
surakh ho har ek guhar-e-ab-dar mein

aaya kabhi na yar na aaya main aap mein
apne aur us ke shikwe kiye intizar mein

nasur pad gai tere danton ke rashk se
rauzan nahin hain ye guhar-e-abdar mein

kha kha ke gul mua hun jo main mere khak ke
taus bante hain chaman-e-rozgar mein

aate hi fasl-e-gul mujhe josh-e-junun hua
zanjir-e-dar se bagh ke bandho bahaar mein

karte hi saf aaine ko khak dekh le
jauhar na puchh jo hain har ek khaksar mein

rakhte nahin ghurur se wo panw arsh par
chalte hain sar ke bal jo rah-e-ku-e-yar mein

batlaun kya wo kaisi hai aaram ki jagah
so jaen panw jaun agar ku-e-yar mein

apne siwa nahin hai koi apna aashna
dariya ki tarah aap hain apne kanar mein

'goya' kabhi hai yas kabhi intizar-e-yar
kya kya hain ranj zindagi-e-mustaar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close