labon pe qufl rahe kan apne band rakho

labon pe qufl rahe kan apne band rakho
baghair chun-o-chara khud ko kar-band rakkho

kisi gharib ki beti jo ho to ho ruswa
huzur nam tum apna hi sar-buland rakho

kisi ka ranj ghatao nahin zaruri koi
faqat dikhawe ko surat hi dard-mand rakho

tumhaare sath agar ho tadap ke chikh utho
wo dusron ke liye baat kyon pasand rakho

kabhi kisi ko bhi kamtar khayal mat karna
dilon se dur hamesha tum aisa gand rakkho

wo apne aap mein kaamil khayal hai us ka
so us ke aage nasihat na koi pand rakho

maqam logon mein tum ko agar banana hai
mithas baaton mein aur apna lahja qand rakho

'rashid' mana ki dushman hazar hain lekin
jadon ke katne ko dost bhi to chand rakkho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close