ladaen aankh wo tirchhi nazar ka war rahne den ladakpan hai abhi nam-e-khuda talwar rahne den kahen kis munh se apna aaina-bardar rahne den tamanna hai ghulami mein hamein sarkar rahne den wo kyun 'bekhud' ko mahw-e-lazzat-e-didar rahne den wo diwane nahin ghafil ko jo hushyar rahne den mere dam tak wafa o ishq bhi duniya mein baqi hain masihai yahi hai wo mujhe bimar rahne den qayamat aa gai ab to gala murdar ka katen kahan tak maut ko zinda tere bimar rahne den isi parde ne umr-e-khizr shauq-e-did ko bakhshi qayamat tak wo apni garmi-e-bazar rahne den sun ai qasid unhen zid hai to hum ko baat ki pach hai munasib wo agar samjhen to ye takrar rahne den mere matam ki kya jaldi hai kyun zewar badhate hain abhi aarasta wo husn ka bazar rahne den agar munkar nakir aate hain turbat mein to aa jaen na chheden wo mujhe mahw-e-jamal-e-yar rahne den qafas mein bekason ko kis ne puchha kaun puchhega kahan tak zakhm ki surat mein wa minqar rahne den nigah-e-sharm ke zakhmi hain tegh-e-naz ke bismil tadapne ke liye hum ko pas-e-diwar rahne den ye fiqre hain ye chaalen hain nazar lakhon mein uth jati udu ke samne wo ho gae na-chaar rahne den jigar mein dard dil mein tis dam ghutne laga apna bhala hum ek ghar mein aur do bimar rahne den mohabbat se hamein nafrat hasinon se hamein wahshat dil-azari ki baaten ab ye dil-azar rahne den hamare kan lafz-e-bewafa sun hi nahin sakte ye khilat to udu ke waste sarkar rahne den meri turbat pe un ko sarf-e-beja ki zarurat kya kabhi kaam aaega ye fitna-e-raftar rahne den muqaddar ko badal den wo zamane ko khafa kar den magar apne tasawwur ko mera gham-khwar rahne den nazar un ki kahin putli kahin aankhen kahin un ki ye gardish dusri surat ki hai purkar rahne den wo kyun mujh ko tasalli den wo kyun pochhen mere aansu ghira hai abr-e-gham aankhon ko gauhar-bar rahne den koi 'bekhud' ki jaanib se zara samjhae waiz ko ibaadat ko farishte hain use mai-khwar rahne den