lae to naqd-e-jaan sar-e-bazar kya kahen har shakhs hai usi ka kharidar kya kahen ek dastan-e-tesha har ek sang-o-khisht hai kyun bolte nahin dar-o-diwar kya kahen us ki gali se pher ke le aae jaan-o-dil kitna hai zindagi se hamein pyar kya kahen dushman hue hain apne hue jab se us ke dost khud ko kahen diwana ki hoshyar kya kahen hum bhi wahi hain tum bhi wahi shahr bhi wahi hail magar hai waqt ki diwar kya kahen saz-e-shikast-e-dil to sada se khamosh hai hota hai kaise sher mein izhaar kya kahen