laegi rang aap ki ye dil-lagi kuchh aur
By ali-manzoor-hyderabadiJuly 31, 2020
laegi rang aap ki ye dil-lagi kuchh aur
badh kar rahegi ab meri aashuftagi kuchh aur
mujh par khulenge aur abhi raaz-ha-e-ishq
dil ko milegi lazzat-e-bechaargi kuchh aur
meri hayat ishq hai tamhid-e-imbisat
jalwe dikhaegi mujhe khud-raftagi kuchh aur
un ki taraf hai chashm-e-sukhan go dam-e-akhir
us ke siwa nahin asar-e-zindagi kuchh aur
han ai khayal-e-dost dikha dost ko dikha
baqi kuchh aur hai hawas-e-bandagi kuchh aur
rahta na itna dur main us jalwa-gah se
ai kash ubhaarta gham-e-uftadgi kuchh aur
wade yunhi jo karte rahenge wo nau-ba-nau
hasil karunga main tarab-e-zindagi kuchh aur
'manzur' ek nigah-e-tarab-soz ke siwa
dekha na hum ne hasil-e-sharmindagi kuchh aur

58603 viewsghazal • English